pani ki boonden mujhe humesha se hi bahut achhin lagti hain, chahe woh versha(rain) ke roop me hon ya fir sagar(sea) ki lahron se chitak ker kinare per aayi kuch boonden. versha ki boondon ko to main humesha nahi pa sakta tha per sagar se chitak ker aayi boondon ko main jab chahe pa sakta tha .isilye main humesha hi uske saath sager ke un sunder kinaron per jata tha .sager ki lehren mujhe door se to bahut achi lagtin thi per paas se mujhe woh utni hi buri lagti thin kynuki woh uske pairon ko chuker jatin thin.isi tarah yeh thandi hawa bhi mujhe achi nahi lagtin thi kyuki yeh bhi uske gaalon ko chuker jati thin.fir bhi sagar ke kinare sunahli ret(sand) per mujhe uske saath bahut pasand tha.
lehron se chitaki hui kuch boonden jab uske gore chehre per padtin to woh pare(mercury) sa chamktin jaise woh boonden un lehron ka saath dene ke liye nahi balki us chere ke liye hi bani hon..tej hawa se uske kuch baal uske chehre per aa jate aur un boondon se geele hoker uski aankhon ke ooper chipak jate.woh un baalon ko hatane ki koshish kerti rehti per woh baal to jaise uske chehre per hi bane rehna chahte hon.woh paresaan hoker mujhse kehti ki please yeh baal mere chehre se hata do.per mujhe to woh waise hi achi lagti isliye main muskera ker unhe hatane se mana ker deta aur woh........aur woh pagal, bachon ki tarah chidh jati aur mujhse kabhi baat na kerne ki jhoonthi kasme khati.
main akser hi sunhari ret(sand) ko apni muthhi me bher ker use pakdne ki naakam koshish kerta rehta isliye nahi ki main us ret ko apni muthi me bherna chata tha per isliye ki woh ret mujhe bahut nerm(soft) lagti thi per itni nahi jitne uske haanth.her baar main jab uske saath hota to us ret per main uska naam likhta aur usse bhi apna naam likhne ke liye kehta per woh na likhti bus muskera deti.agli baar main jab wahan aata to mujhe uska naam wahan nahi milta.main udaas ho jata aur usse poonchta ki kahan gaya tumhara naam jise maine kal yahan per likha tha........woh fir kuch nahi bolti bus muskera deti.
ek din main bachon ki tarah zid ker baitha ki kyun woh mera naam us ret per nahi likhti jaise main uske likhta hun.is per woh mera haanth pakadker mujhe ek bade se pather(stone) ke teele per le gayi.jahan se door door tak sagar aur uski lehren to dikh rahin thi per uski koi bhi boond uske chehre per nahi gir rahi thi aur na hi uske baal un boondon se geele hoker uske chehre per aa rahe the .us patther per usne mera nam uske naam ke saath likha hua dikhaya.woh dono naam usne us patther per apne naakhun (nails) se likhe the.
aaj bhi main un kinaron per akela jata hun.un kinaron per na to uska hanth mere haanthon me hota hai aur na hi ret per mera likha uska naam .per aaj bhi us patther per uske naakhonon se lika uske naam ke saath mera naam maujood hai.